maqam-e-amn qafas kya ki aashiyan bhi nahin sukun wahan bhi nahin tha sukun yahan bhi nahin mera kalam payam-e-amal na ho lekin tamam-tar nigah-o-dil ki dastan bhi nahin meri nigah mein manzil hai aam insan ki maqam-e-dar nahin bazm-e-mah-rukhan bhi nahin ye bar shiddat-e-ehsas ka hai nadanon garan hai zist magar is qadar garan bhi nahin hai naqsh-e-khun-e-jigar se har ek fan ko sabaat jo ye nahin to koi naqsh-e-jawedan bhi nahin