ajab hi kya hai agar dhund mein ghubar mein hai wo shakhs apne banae hue hisar mein hai kahan hai waqt abhi hum ko dil lagane ka hamari soch abhi fikr-e-rozgar mein hai ghamon ke sae mein khushiyon ke phul mahke hain khizan ka aks bhi kuchh mausam-e-bahaar mein hai jo eqtidar ke laeq na tha kisi surat sitam ye hai ki wahi shakhs eqtidar mein hai khuda ko karna hai wapas rahe khayal 'ejaz' hamare pas to ye zindagi udhaar mein hai