hadse zer-o-bam pech-o-kham rah dekh gah chal gah ruk gah mud gah dekh tul-e-fihrist-e-hajat kuchh rahm kar meri mushkil samajh meri tankhwah dekh buz-dilon ki tarah chhup ke hamla na kar apne dushman ko bhi kar ke aagah dekh jis ko aana na ho wo nahin aaega ek do din nahin chaar chhe mah dekh apni auqat ka jaeza le zara us ki zebaish-o-mansab-o-jah dekh kuchh tamiz uyub-e-mahasin nahin hai nazar teri kis darja kotah dekh