ajab hun main ki jo KHud dard-e-sar banata hun

ajab hun main ki jo khud dard-e-sar banata hun
makan ban nahin sakta main ghar banata hun

utarta hun main wahshat waraq pe pahle phir
jo rang udasi ka bharta hun dar banata hun

udana main ne hai unchi udan shahin ko
to fikr-o-fan se main bhi baal-o-par banata hun

kabhi to kuch hi karna hai mujh ko duniya se
to phir main kis liye yan mustaqar banata hun

kashid karta hun main bhi kisi tamanna ko
guman tarashta hun dard-e-sar banata hun

main khud ko dasne laga hun kahani gar 'hamza'
main khud ko phir se yahan mar kar banata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close