jo neki kar ke phir dariya mein isko Dal jata hai

jo neki kar ke phir dariya mein is ko dal jata hai
wo jab duniya se jata hai to mala-mal jata hai

sambhal kar hi qadam rakhna bayaban-e-mohabbat mein
yahan se jo bhi jata hai bada behaal jata hai

kabhi bhuke padosi ki khabar to li nahin us ne
magar karne wo umra aur haj har sal jata hai

manaun har baras jashn-e-wiladat kis liye aakhir
yahan har sal meri umr ka ek sal jata hai

hai duniya tak hi apni dastaras mein daulat-e-duniya
faqat hamrah apne nama-e-amal jata hai

bina dekhe khuda ko manta hun is liye 'sahil'
koi to hai jo hum ko roz dana dal jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close