ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se nikla tha ye kaun phir se unhin raston mein chhod gaya abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha ye tir dil mein magar be-sabab nahin utra koi to harf lab-e-chaaragar se nikla tha ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai yahi dhuan mere diwar-o-dar se nikla tha main raat tut ke roya to chain se soya ki dil ka zahr meri chashm-e-tar se nikla tha ye ab jo sar hain khamida kulah ki khatir ye aib bhi to hum ahl-e-hunar se nikla tha wo qais ab jise majnun pukarte hain 'faraaz' teri tarah koi diwana ghar se nikla tha