gham bhi utna nahin ki tum se kahen aur chaara nahin ki tum se kahen aaj hum be-karan samundar hain tum wo dariya nahin ki tum se kahen yun to marne se chain milta hai ye irada nahin ki tum se kahen nili aankhon ki chandni ke liye ab andhera nahin ki tum se kahen tum akele nahin rahe to kya hum bhi tanha nahin ki tum se kahen ab na wo gham ki apne hath 'obaid' shabnam-asa nahin ki tum se kahen