ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare zarurat zarurat zarurat zarurat zarurat ki khatir marasim hain sare hain chaaron taraf hi bahut log lekin haqiqat mein koi bhi apna nahin hai dikhawa dikhawa sabhi kuchh dikhawa dikhawe mein jite hain sare ke sare bulandi pe jin ko bhi dekha ye paya sabhi aasra dhundte phir rahe hain kise sarparasti ke qabil samajhiye jiye ja rahe hain khud apne sahaare sabhi apni apni kahe ja rahe hain hamein hum se chhine liye ja rahe hain hamein apni khatir bhi rahne do thoda nahin koi apna siwa ab hamare hamein apni zad mein hi rahna padega khudi ko khudi mein dubona padega na aape se bahar tu aana samundar samundar ko samjha rahe hain kinare faqat duriyon mein hi sari kashish hai ki nazdikiyon se bharam tutte hain falak pe chamakna hai qismat hamari zamin se ye kahte hain tute sitare ye jhute se rishte ye farzi se nate kahan tak nibhaen kahan tak nibhaen bahut ho chuka bas bahut ho chuka ab koi to badhe ye makhote utare