umr-e-rafta main tere hath bhi kya aaya hun din bitane the magar khud ko bita aaya hun dhul bhi aise qarine se udai hai ki main ek marte hue raste ko bacha aaya hun kal ko de aaunga ja kar use binai bhi aankh diwar pe filhaal bana aaya hun wadi-e-saut nahin mujh ko bhulane wali naqsh yun kar ke wahan apni sada aaya hun sirf panw hi nahin qaid se bahar aae apni zanjir ko bhi kar ke riha aaya hun apne aansu bhi kiye nazr kisi pani ke pyas dariya ki bahar-taur bujha aaya hun zindagi tu bhi bahut yaad karegi mujh ko tere hisse ke bhi dukh-dard utha aaya hun ab pareshan hun ki tabir ka jaane kya ho band kanon ko naya khwab suna aaya hun jaane kis ghat lage umr ki kashti 'ahmad' khud ko sukhe hue dariya mein baha aaya hun