ajab khajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui ki jaise zakhm ki taqrib-e-ru-numai hui nazar to apne manazir ke ramz jaanti hai ki aankh kah nahin sakti suni-sunai hui barun-e-khak faqat chand thekre hain magar yahan se shahr milenge agar khudai hui khabar nahin hai ki tu bhi wahan mile na mile agar kabhi mere dil tak meri rasai hui main aandhiyon ke muqabil khada hua hun 'saud' padi hai fasl-e-mohabbat kati-katai hui