jo yun aap bairun-e-dar jaenge khuda jaane kis kis ke ghar jaenge shab-e-hijr mein ek din dekhna agar zindagi hai to mar jaenge abas ghar se apne nikale hai tu bhala hum tujhe chhod kar jaenge musafir hain lekin nahin jaante kahan se hum aae kidhar jaenge tamanna mein bose ki kahta hai ji badan se nikal bhi agar jaenge tu hai ek-dam aur hazaron umid labon pe koi dam thahar jaenge ba-hurmat nibhi ab talak jis tarah huzur itne din bhi guzar jaenge