ajab khun-chakan karbala ka saman tha the sab tishna-lab aur dariya rawan tha musibat ke maron ka ek karwan tha har ek gham-zada budha bachcha jawan tha tha ek aalam-e-hashr har samt goya tha bad-haal har shakhs jo bhi jahan tha sisakte the bachche bilakti thin maen jo insan bhi pyas se na-tawan tha sitam aaj bhi us ka wird-e-zaban hai yazid-e-lain jo wahan hukmaran tha tha khemon mein kohram jo jal rahe the har ek samt jaise dhuan hi dhuan tha hua karbala mein jo qurban 'barqi' husain ibn-e-haidar ka wo khandan tha