na-shanasi ka hamesha gham raha aaina bhi apna na-mahram raha aag hai us par hai ye be-shoalagi apne jalne ka ajab aalam raha sare unche ghar hawa ki zad mein the mera malba tha jo mustahkam raha main bhi sail-e-arzu mein bah gaya wo bhi gharq-e-garmi-e-shabnam raha hum gire bhi to ana ke ghaar mein tutte par bhi wahi dam-kham raha ab hai 'haali' be-niyazi ka khala ab kahan ehsas-e-besh-o-kam raha