ajab marhalon se guzara gaya main phir is khak-dan par utara gaya main zarurat nahin tha main din bhar kisi ki jahan sham aai pukara gaya main khabar hi nahin thi safar hai kahan tak jahan tak gaya wo sitara gaya main mohabbat nahin main tamasha tha jaise gali se teri yun guzara gaya main main darwesh tha aur na aashiq magar dil tere sang be-maut mara gaya main mujhe to talab thi mohabbat ki 'khawar' magar tohmaton se sanwara gaya main