aasman surKH hua nala-e-shab-gir ke baad

aasman surkh hua nala-e-shab-gir ke baad
haal-e-dil us pe khula hai badi takhir ke baad

talab-e-khwab mein kitni thin pareshan aankhen
kitni hairan hain ab khwab ki tabir ke baad

khul to sakte the meri aankh pe manzar kai aur
main ne dekha hi nahin kuchh teri taswir ke baad

zindagi katti rahi aur mere pairon mein
ek zanjir padi dusri zanjir ke baad

marka ab ke mohabbat mein ajab guzra hai
hath khali hi rahe lamha-e-taskhir ke baad

kucha-e-harf mein ye jaan ke aae 'khawar'
'mir' sa 'mir' se pahle na hua 'mir' ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close