ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage ki apne sae se sar panw se hai do qadam aage qaza ne tha mujhe chaha kharab-e-baada-e-ulfat faqat kharab likha bas na chal saka qalam aage gham-e-zamana ne jhadi nashat-e-ishq ki masti wagarna hum bhi uthate the lazzat-e-alam aage khuda ke waste dad us junun-e-shauq ki dena ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se hum aage ye umr bhar jo pareshaniyan uthai hain hum ne tumhaare aaiyo ai turrah-ha-e-kham-ba-kham aage dil o jigar mein pur-afshan jo ek mauja-e-khun hai hum apne zom mein samjhe hue the us ko dam aage qasam janaze pe aane ki mere khate hain 'ghaalib' hamesha khate the jo meri jaan ki qasam aage