nahin mittin teri yaaden nadi mein khat bahane se ye akasr laut aati hain kisi dilkash bahane se bhula paya nahin main daur-e-mazi ke hasin lamhe kabhi tu yaad bhi kar le talluq ye purane se namak-pashi zamane ne mere zakhmon pe ki paiham magar main baz kab aaya hun phir bhi muskurane se tumhein jis ke liye hum ne chuna wo kaam bhi karna mile tum ko agar fursat hamara ghar jalane se muqabil aaine ke aa gaya hai bhul se shayad mujhe lagta hai kuchh aisa hi us ke tilmilane se qafas ko todne ki ab ke us ne bhi to thani hai yahi paigham milta hai paron ko phadphadane se mujhe malum hai hargiz palat kar aa nahin sakta guzarish hai magar meri 'asar' guzre zamane se