ajab sauda-e-wahshat hai dil-e-khud-sar mein rahta hai ye kaisi chhab ka malik hai ye kaise ghar mein rahta hai usi ke dam-qadam se hai jahan-e-dida-o-nazzara kahin aankhon mein basta hai kahin manzar mein rahta hai nihaal-e-khushk mein ab tak wo sukha zard sa patta barahna lagta hai lekin libas-e-zar mein rahta hai meri aankhon se le kar tere chehre tak sitare hain ki jo gardish mein aa jae usi mehwar mein rahta hai main apne aks ko ram-khurdagi se baz kya rakkhun ghazal-e-aina-khana kisi ke dar mein rahta hai mujhe to gor-e-girya mein sula dete hain ghar wale magar ehsas-e-bedari mere bistar mein rahta hai