jab koi tir hawadis ki kaman se aaya naghma ek aur mere mutrib-e-jaan se aaya ek nazzare ne mere liye aankhen bhejin dil kisi kargah-e-shisha-giran se aaya jab bhi is dil ne tere qurb ki daulat chahi ek saya sa nikal kar rag-e-jaan se aaya main na darta tha anasir ki sitam-koshi se khauf aaya to bas ek umr-e-rawan se aaya kya karun khilat o dastar ki khwahish ki mujhe zist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya main to ek khwab ko aankhon mein liye phirta tha ye sitara mere pahlu mein kahan se aaya