ajab si koi be-yaqin raat thi kahin thoda din tha kahin raat thi giraftar thi dard-e-zeh mein bahut wo takhliq ki awwalin raat thi thin chizen jahan shakl pane ke baad wahin din bhi tha aur wahin raat thi kahan thi ye jab tak ki zahir na thi falak par ki zer-e-zamin raat thi mere sath jo mere bistar mein thi wo sab se zyaada hasin raat thi nikalti thi jo raushni dekhne kisi tera ghar ki makin raat thi mile bhi to bikhre hue mah o sal kahin din pada tha kahin raat thi kisi khar manind chubhti rahi ba-zahir badi makhmalin raat thi tha naraaz din mere ek feal par kisi baat par khashm-gin raat thi zyaada hi gahri thi 'shahin' shafaq badi der tak aatishin raat thi