bahut se muddai nikle magar jaan-baz kam nikle pas-e-majnun hazaron aashiqon mein ek hum nikle nahin mumkin kisi se husn ki barikiyan hal hon tere har tar-e-gesu mein hamare pech-o-kham nikle ye surat ho to apna khatma bil-khair ho jae idhar hum sar jhukaen aur udhar tegh-e-do-dam nikle hamein arman hai us aastan par zindagi guzre isi hasrat mein jite hain ki un qadmon pe dam nikle