ajab sitam hai ki tere hisse se ghat raha hun main tera ho kar bhi aur logon mein bat raha hun tu ek sail-e-rawan ki surat guzar raha hai main ek jazira hun har kinare se kat raha hun khulenge asrar-e-ishq uzlat-nashiniyon mein main ek duniya se ek dil mein simat raha hun agar tujhe ishq tash ka khel lag raha hai to le main apne tamam patte ulat raha hun azal abad ke sabhi masail pe baat hogi abhi to ai zindagi main tujh se nimat raha hun sitare jun jun falak se madum ho rahe hain mujhe ye lagta hai mein bhi manzar se hat raha hun