baur aaya hai ki ek shauq-e-numu bolta hai

baur aaya hai ki ek shauq-e-numu bolta hai
gul-e-pur-josh ki rag rag se lahu bolta hai

kitni shirini utar aai hai lahje mein mere
meri aawaz mein lagta hai ki tu bolta hai

teri khamosh-nigahi ke takallum ki qasam
tu agar chup ho to ek aalam-e-hu bolta hai

karni padti hai bahut saut-o-sada par mehnat
tab kahin ja ke tarannum mein gulo bolta hai

sil gaya chaak-e-gareban magar bakhiya-garo
ab jo bazar mein niklun to rafu bolta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close