ajab talash-e-musalsal ka ikhtitam hua husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua tha intizar manaenge mil ke diwali na tum hi laut ke aae na waqt-e-sham hua har ek shahr ka mear mukhtalif dekha kahin pe sar kahin pagdi ka ehtiram hua zara si umr adawat ki lambi fehristen ajib qarz wirasat mein mere nam hua na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua hum apne sath liye phir rahe hain pachhtawa khayal laut ke jaane ka gam gam hua