bahaar aai magar khayali saba ne phulon pe khak dali main kis ko apna harif samjhun ki sab ki surat hai bholi-bhaali haqiqaton pe nigah rakkho nahin hai sab kuchh yahan khayali kali ne shayad ki pat hain khole asar chaman mein hai dali dali na barq-e-sozan na baad-e-sar-sar gulon ka qatil chaman ka wali wahi hai sab se azim fateh wo aaj jis ne haya bacha li koi na hoga harif 'arif' jo us ne tegh-o-sipar sambhaali