ajab tazad hai sachchaiyon se aage bhi

ajab tazad hai sachchaiyon se aage bhi
mera wajud hai parchhaiyon se aage bhi

kisi ka husn fareb-e-nashat deta hai
nigar-e-waqt ki angdaiyon se aage bhi

chala hai talkh haqaeq ka karwan jaise
mere yaqin ki binaiyon se aage bhi

jahan wajud bhi khud ko samet leta hai
wo ek maqam hai tanhaiyon se aage bhi

na jaane kyon mujhe ehsas ye satata hai
ki koi aur hai parchhaiyon se aage bhi

koi safar mein hai 'asif' mere alawa bhi
mere wajud ki sachchaiyon se aage bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close