ye justuju mein na jaane kis ki charagh aankhon ke jal rahe hain

ye justuju mein na jaane kis ki charagh aankhon ke jal rahe hain
ki qaid-e-hasti se hum nikal kar ufuq ki rahon pe chal rahe hain

ye waqt jaane azab kaise shadid mujh par utarta hai
ye chand tare hasin manzar nazar mein jaise pighal rahe hain

kahin umidon ki ye qanaten jo tuttin to ghazab hi hota
mere azaem mere irade bulandiyon par sanbhal rahe hain

kise khabar thi ki rut khizan ki wajud mein hai rachi basi si
talash-e-fasl-e-bahaar mein hum fana ki rahon pe chal rahe hain

meri ana par ye war gahra na jaane kis ne kiya hai 'asif'
jo ashk aankhon mein aa rahe hain lahu ke qatron mein dhal rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close