ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge mere harif lahu ke diye jalaenge main tajrabon ki aziyyat kise kise samjhaun ki tere baad bhi mujh par azab aaenge bas ek sajda-e-tazim ke taqabul mein kahan kahan wo jabin-e-talab jhukaenge atash atash ki sadaen uthi samundar se to dasht-e-pyas ke chashme kahan lagaenge chhupa ke rakh to liya hai sharar-e-bu-lahbi dhuan utha to nazar tak mila na paenge daraaz karte raho dast-e-haq-shanas apna bahut hua to wo neze pe sar uthaenge nawah-e-lafz-o-maani mein gunj hai kis ki koi batae ye 'amjad' ki hum bataenge