ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai na kahin khirad ko sukun hai na kahin junun ko qarar hai kahin garm bazm-e-habib hai kahin sard mahfil-e-yar hai kahin ibtida-e-surur hai kahin intiha-e-khumar hai mera dil hai sine mein raushni isi raushni pe madar hai main musafir-e-rah-e-ishq hun to ye shama rah-guzar hai jise kahte hain teri anjuman ajab anjuman hai ye anjuman koi is mein sokhta-haal hai koi is mein sina-figar hai ye asar hai ek nigah ka ki mizaj-e-taba badal diya jo hamesha shikwa-guzar tha wo tumhaara shukr-guzar hai ye zaruri kya hai ki har bashar rahe nam-o-kaam se ba-khabar magar itna jaan chuke hain sab ki takhallus us ka 'ghubar' hai