ajab tir-e-nigah mein kuchh asar hai

ajab tir-e-nigah mein kuchh asar hai
na bar mein dil na sine mein jigar hai

maal-e-ashiqi kya puchhte ho
jigar ke par har tir-e-nazar hai

wo jaisi subh waisi hi shab-e-hijr
ghazab ki raat aafat ki sahar hai

qafas chhoda ajab surat se hum ne
na bazu hai na gardan hai na sar hai

tumhein kya hum pe jo guzri so guzri
hisab ai jaan hamara hashr par hai

lagi lau shama-san ek shoala-ru ki
bala se sar kate ab kis ko dar hai

gharaz mutlaq nahin mujh ko kisi se
'nasim' apni khuda hi par nazar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close