ab hamein teri tamanna nahin hai aankh ko zauq-e-tamasha nahin hai jaane kyun dhund rahe hain hum tum wo jo taqdir mein likkha nahin hai yun sar-e-rahguzar baithe hain jaise hum ko kahin jaana nahin hai phir ye kyon khak si udti hai yahan dil ke andar koi sahra nahin hai shahr walo kabhi us ko bhi padho wo jo diwar pe likkha nahin hai us ko kamtar na samajhna logo wo jise khwahish-e-duniya nahin hai hum ko hai qurb-e-mayassar ka nasha hum ko andesha-e-farda nahin hai ye guzarta hua ek saya-e-waqt qatil-e-umr hai lamha nahin hai tah mein rishton ki utar kar dekho kaun is dahr mein tanha nahin hai hijr ka tujh ko hai shikwa tu ne mani-e-ishq ko samjha nahin hai gum hue kitne hi be-nam shahid jin ka tarikh mein charcha nahin hai tu hai begana to kya tujh se gila koi duniya mein kisi ka nahin hai kar gae khauf-e-khizan se hijrat ped par koi parinda nahin hai zist mein hum ne bacha kar kuchh waqt kabhi apne liye rakkha nahin hai hum hain us ahd mein zinda jis ka jism hi jism hai chehra nahin hai tum na hoge to jiyenge kaise abhi is bare mein socha nahin hai kaisi mahfil ye saji hai 'nazish' koi bhi mera shanasa nahin hai