ajab uljhan hai jo samjha nahin hun jahan hota hun main hota nahin hun hiqarat se mujhe kyun dekhta hai bata kya main tere jaisa nahin hun wo meri baat jab sunta nahin hai jo mere dil mein hai kahta nahin hun talluq todta hun dushmanon se kabhi yaron se main ladta nahin hun jahan izzat nahin milti hai mujh ko wahan par main kabhi jata nahin hun rawani mein mujhe rahna padega main dariya hun koi sahra nahin hun bhadakta hun main apni lau se 'gauhar' kisi ki aag se jalta nahin hun