dil-e-shikasta ki nim-jaan KHwahishon ko jina sikha rahi hai

dil-e-shikasta ki nim-jaan khwahishon ko jina sikha rahi hai
nigah-e-afsun-bayan us ki buton se sajda kara rahi hai

ye phul khushbu ye chand-tare ye girti bunden ye abr-pare
sab us ki aamad ke muntazir hain wo khud ko sabse chhupa rahi hai

ye chandni mein nahaya dariya ye mahfil-e-shab bhi khub lekin
main chand par ja raha hun mujh ko wo ek zaifa bula rahi hai

jo reg-e-dil pe likha hai us ko dukhon ka pani mita na dale
main khwab dekhe hi ja raha hun ye aankh barse hi ja rahi hai

kabhi khamoshi kabhi tabassum kabhi khayalon ki dhund mein gum
meri udasi to har qadam par qaba badalti hi ja rahi hai

wo khush-bayan 'imtiyaz' wo lafz lafz jadu chalane wala
wo kal mila tha to kah raha tha khamoshi andar se kha rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close