ajal ke sath chale hain yun intizar ke baad wafa ke qaht padenge wafa-shiar ke baad milen kahan se wo hum se sanam-parast ki yan jo bandagi karen teri gunahgar ke baad nigah-e-naz ke tiron ki dil mein lutf-o-khalish nahin kahin pe wo mere sitam-shiar ke baad kiya jo qatl unhon ne to puchho un se koi qarar mein nahin hain kyon wo be-qarar ke baad kharid kar gham-e-jaan tujh se mere shokh-o-hasin malal koi karega na dil-figar ke baad khuda bhi mahw-e-kashakash hai khuld ke liye hur banae kaisi hasin tujh se shahkar ke baad karen jo ishq to rahti kahan ye rang-o-rawish milenge tujh se kabhi hum jafa-e-yar ke baad ye dil-lagi to kare hain wafa-shiar hon tab tumhaari zulf sanwaren agar khumar ke baad ye ishq zar se hai taki ye khasta-haalon se hamara dawa karenge wo rozgar ke baad badan ke tukde khilae tamam umr use gharibi bhuk se mar jaegi 'waqar' ke baad