ajal ki phunk mere kan mein sunai di jab us ne shab ke thake dip ko rihai di darun-e-khak raha karwan-e-nikhat-o-rang numu ne sabr kiya aakhirash duhai di ulajh raha tha abhi khwab ki fasil se main ki na-rasai ne ek shab mujhe rasai di hawa ka safha-e-larzan banane wale ne mizha ki nok pe ashkon ki raushnai di phir ek shab ye hua khwab ke shajar se pare hazar rang ki aawaz ek dikhai di ajib dhang se taqsim-e-kar ki us ne so jis ko dil na diya us ko dilrubai di sana usi ki jo muhtaj-e-harf-o-saut nahin ki jis ne ashk ke lahje mein nam-nawai di