badan par zakhm the aur ustukhwan mein din nahin tha bahut tare the apne aasman mein din nahin tha meri khwahish ke jitna kab hua mujh mein saraban ki bahr-e-dasht ke kaun-o-makan mein din nahin tha andhere mein the apne qahqahe bhi siskiyan bhi hamare wasl ke sud-o-ziyan mein din nahin tha basanti dhup thi darkar hariyali ki khatir khizani-rut thi hisse gulistan mein din nahin tha haqiqat khwab mein dhalne ko thi maujudgan mein samay ki aankh ke aaindagan mein din nahin tha hamare grahan ko suraj lagana kab tha mumkin bahut dhunda magar asr-e-rawan mein din nahin tha nikalna tha gharon se raat mein tohmat barabar aur 'aswad' is hawas-parwar jahan mein din nahin tha