ajib chiz hai dil aadmi ke sine mein

ajib chiz hai dil aadmi ke sine mein
hai kaenat ka har raaz is dafine mein

na uljhanen hon na dushwariyan hon jine mein
abhi hai zindagi itni kahan qarine mein

talash shart sabhi kuchh tumhaari zat mein hai
milenge gauhar-e-nayab is khazine mein

khirad ka zabta-e-zist kuchh na kaam aaya
junun se aa to gai zindagi qarine mein

qafas mein rah ke bhi gham tha qafas mein chhup ke bhi gham
badi ajib si dushwariyan hain jine mein

yahi to shikwa junun ko raha ki ahl-e-khirad
lahu ka rang nahin dekhte pasine mein

hai zist tang magar maut se gurezan hain
khuda hi jaane hai kitni mithas jine mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close