awwal to jalwa-gah mein dil ki bisat kya

awwal to jalwa-gah mein dil ki bisat kya
dil hai junun-nawaz to phir ehtiyat kya

bimar-e-gham ke samne zikr-e-nashat kya
zulmat se raushni ka bhala irtibaat kya

be-khauf rukh safine ka modo bhanwar ki samt
marna qubul kar chuke ab ehtiyat kya

dil hai to ek khalish bhi talab kar banam-e-dil
karb-e-nashat mang surur-e-nashat kya

mere huzur ye bhi nawazish hai aap ki
dil jalwa-gah-e-naz ho dil ki bisat kya

apna chuke hain hum to mazaq-e-gham-e-firaq
ab ehtiyat kya karen ab ehtiyat kya

shayad abhi ye ahl-e-khirad ko pata nahin
diwangi-e-hosh mein hai irtibaat kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close