ajib jang-o-jidal har pal hai mere andar ki nur-o-zulmat ka ek maqtal hai mere andar uge hain mujh mein hazar-ha khar-zar paude phir is pe turra ki ruh malmal hai mere andar ye kaisi be-mani zindagi ho ke rah gai hai na kuchh adhura na kuchh mukammal hai mere andar main jaanta hun ki khatm hoga na ye taffun magar lutaunga jitna sandal hai mere andar samundaron mein kahan tamawwuj hai aisa mumkin ki jo talatum hai jaisi halchal hai mere andar bade-badon ko samajh raha hai jo tifl-e-maktab 'nadim' aakhir wo kaun pagal hai mere andar