main sach kahun pas-e-diwar jhut bolte hain mere khilaf mere yar jhut bolte hain mili hai jab se unhen bolne ki aazadi tamam shahr ke akhbar jhut bolte hain main mar chuka hun mujhe kyun yaqin nahin aata to kya ye mere aza-dar jhut bolte hain ye shahr-e-ishq bahut jald ujadne wala hai dukan-dar o kharidar jhut bolte hain bata rahi hai ye taqrib-e-mimbar-o-mehrab ki muttaqi o riya-kar jhut bolte hain qadam qadam pe nai dastan sunate log qadam qadam pe kai bar jhut bolte hain main sochta hun ki dam len to main unhen tokun magar ye log lagatar jhut bolte hain hamare shahr mein 'ami' munafiqat hai bahut makin kya dar-o-diwar jhut bolte hain