ajib jumbish-e-lab hai khitab bhi na kare sawal kar ke mujhe la-jawab bhi na kare wo mere qurb mein duri ki chashni rakkhe mere liye mera jina azab bhi na kare kabhi kabhi mujhe sairab kar ke khush kar de hamesha gumrah-e-sehr-e-sarab bhi na kare ajib barzakh-e-ulfat mein mujh ko rakkha hai ki wo khafa bhi rahe aur itab bhi na kare wo intizar dikhae is ehtiyat ke sath ki meri aankhon ko mahrum-e-khwab bhi na kare wo raat bhar kuchh is andaz se kare baaten mujhe jagae bhi ninden kharab bhi na kare har ek sher mein 'azar' nuqush hain us ke magar wo khud ko kabhi be-naqab bhi na kare