ajib log hain gul karke zindagi ke charagh jalae baithe hain apne gharon mein ghi ke charagh bhatak rahe hain andheron mein mehr-o-mah-o-nujum har ek samt farozan hain tirgi ke charagh nazar nazar mein diye hasraton ke larzan hain qadam qadam pe hain raqsan fasurdagi ke charagh chaman mein zagh-o-zaghan ki bapa wo shorish hai ki chhin gae hain anadil se naghmagi ke charagh bhadak uthi hai dilon mein wo aatish-e-nafrat ki jal uthe hain labon tak pe tishnagi ke charagh ye soch len ki udae hansi na baad-e-khizan karen na ahl-e-chaman gul shaguftagi ke charagh unhin ke ghar mein andhera hai khun se jin ke farogh-kash hain shabistan-e-khwajgi ke charagh muhit khana-e-jaan par hai abr-e-mahrumi jalao khun-e-tamanna se zindagi ke charagh uthi hain aandhiyan iblisiyat ki wo 'athar' laraz rahe hain khudai mein bandagi ke charagh