aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga main shajar hunga tere hath mein patthar hoga yun bhi guzrengi tere hijr mein raaten meri chand bhi jaise mere sine mein khanjar hoga zindagi kya hai kai bar ye socha main ne khwab se pahle kisi khwab ka manzar hoga hath phailae hue sham jahan aaegi band hota hua darwaza-e-khawar hoga main kisi pas ke sahra mein bikhar jaunga tu kisi daur ke sahil ka samundar hoga wo mera shahr nahin shahr-e-khamoshan ki tarah jis mein har shakhs ka marna hi muqaddar hoga kaun dubega kise par utarna hai 'zafar' faisla waqt ke dariya mein utar kar hoga