ajib lutf mohabbat ki dastan mein hai wafa ka tazkira duniya ki har zaban mein hai na wo zamin pe kahin hai na aasman mein hai parinda is liye mahfuz hai udan mein hai nashat-e-saya ne mazur kar diya us ko wo kaise dhup mein nikle jo saeban mein hai nasib dekhiye malik to ho gaya be-ghar kiraya-dar abhi tak usi makan mein hai khulus-o-mehr-o-wafa ki nahin koi qimat wo mal bikta nahin jo meri dukan mein hai fulan ki baat fulan ne suni fulan se kahi bas itni baat pe hangama khandan mein hai 'zafar' bata to sahi kyon hai itni be-khabari dimagh kaun se dil kaun se jahan mein hai