chadha hua hai jo suraj wo dhal bhi sakta hai hawa-e-waqt ka rukh to badal bhi sakta hai khamosh lab hai jo dariya to khair hai sab ki bigad gaya to wo basti nigal bhi sakta hai chalo ai tishna-labo hum uthaen dast-e-dua ki aasman dua se pighal bhi sakta hai manao jashn mukammal bahaar aane par abhi naya sa hai mausam badal bhi sakta hai wo phul jaisa badan chandni se hai darta ki chandni mein badan us ka jal bhi sakta hai tumhein to shauq hai phulon ke sath rahne ka hamara azm jo kanton pe chal bhi sakta hai hai aasman ki bulandi mein ghar 'zafar' jis ka zamin ki had se wo bahar nikal bhi sakta hai