ajib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun main us ke khwab mein bedar rahna chahta hun ye mauj-e-taza meri tishnagi ka wahm sahi main is sarab mein sarshaar rahna chahta hun siyah chashm meri wahshaton pe tanz na kar main qatilon se khabar-dar rahna chahta hun ye dard hi mera chaara hai tum ko kya malum hatao hath main bimar rahna chahta hun idhar bhi aaegi shayad wo shah-banu-e-shahr ye soch kar sar-e-bazar rahna chahta hun hawa gulab ko chhu kar guzarti rahti hai so main bhi itna gunahgar rahna chahta hun