hasraten aa aa ke jama ho rahi hain dil ke pas karwan goya pahunchne wala hai manzil ke pas bich mein jab tak thin maujen un mein shorish thi bahut intishaar un mein hua jab aa gain sahil ke pas nazr-e-qatil jaan jab kar di to baqi kya raha ab tadapne ke alawa hai hi kya bismil ke pas gharq kar den meri kashti phir ye maujen dekhna hashr tak patka karengi apna sar sahil ke pas bhik dena to kuja kasa bhi us ne le liya main ab ek hasrat-zada hun kya hai mujh sail ke pas ek hum hain hum ne kashti dal di gardab mein ek tum ho darte ho aate hue sahil ke pas khair ho 'ajiz' kahin aisa na ho dil dub jae ishq ke dariya mein halchal ho rahi hai dil ke pas