ajib rang tere husn ka lagaw mein tha gulab jaise kadi dhup ke alaw mein tha hai jis ki yaad meri fard-e-jurm ki surkhi usi ka aks mere ek ek ghaw mein tha yahan wahan se kinare mujhe bulate rahe magar main waqt ka dariya tha aur bahaw mein tha urus-e-gul ko saba jaise gudguda ke chali kuchh aisa pyar ka aalam tere subhaw mein tha main pur-sukun hun magar mera dil hi jaanta hai jo intishaar mohabbat ke rakh-rakhaw mein tha ghazal ke rup mein tahzib ga rahi thi 'nadim' mera kamal mere fan ke is rachaw mein tha