bahut suna tha ki khulta hai par nahin khulta khuda ke waste bande ka ghar nahin khulta wo ek sher jo khulta hai sari mahfil pe wo jis pe khulna hai us pe magar nahin khulta hamare qad ke mutabiq jise banaya tha wahi wo dar hai jo baalisht-bhar nahin khulta bane hue hain ajaeb-gharon ki zinat hum par apne waste apna hi dar nahin khulta tumhein pahunchna hai 'iqbaal' 'mir' 'ghaalib' tak magar wo rasta shayad idhar nahin khulta kare ki minnaten karte hain ek muddat se magar nasib mein apne safar nahin khulta sawal dastaken de ki hue fana 'fani' jahan jawab hai bas wo hi dar nahin milta