ajib shakhs hai mujh ko to wo diwana lage pukarta hun to us ko meri sada na lage guzar raha hai mere sar se jo hawa ki tarah kabhi kabhi to wahi lamha ek zamana lage gali mein jis pe har ek samt se chale patthar mujhe wo shakhs kisi tarah bhi bura na lage mizaj us ne bhi kaisa ajib paya hai hazar chhed karun par use bura na lage hamare pichhe wo chup-chap baitha rahta hai main sochta hun magar kuchh mujhe pata na lage isi khayal se shayad hai band wo khidki thathurti sham ki us ko kahin hawa na lage sunaen kis ko yahan aap-biti ai 'aslam' hamein to apni hi har baat khud fasana lage